Home | Index of Poets Ahmed Faraz

SAB LOG LIYE SANG-E-MALAAMAT NIKAL AAYE

sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye


kis shahar me.n ham ahal-e-muhabbat nikal aaye





ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho


aa.Nsuu kii jagah aa.Nkh se hasarat nikal aaye





har ghar kaa diyaa gul na karo tum ke na jaane


kis baam se Khurashiid-e-qayaamat nikal aaye





jo dar_paa-e-pindaar hai.n un qatl_gaho.n se


jaa.N deke bhii samajho ke salaamat nikal aaye





ai ham_nafaso.n kuchh to kaho ahad-e-sitam kii


ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye





yaaro mujhe masaluub karo tum ke mere baad


shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye


Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Mudaber Qureshi
URL: http://www.achisite.com