Home | Index of Poets Ahmed Faraz

MAI.N TO AAVAARAA SHAAYAR HUU.N MERII KYAA UAQA'AT

mai.n to aavaaraa shaayar huu.N merii kyaa uaqa'at 


ek do giit pareshaan se gaa letaa huu.N 





gahe gahe kisii naakaam sharaabii kii tarah 


ek do zahar ke saaGar bhii cha.Dhaa letaa huu.N 





tuu ke ik vaadii-e-gul_rang kii shah_zaadii hai 


ek bekaar se insaa.N ke liye vaqf na ho 





tere Khvaabo.n ke jaziiro.n me.n ba.Dii raunaq hai 


ek anjaan se tuufaa.N ke liye vaqf na ho 


Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Mudaber Qureshi
URL: http://www.achisite.com