Home | Index of Poets Ahmed Faraz

KAHAA THA KIS NE KE AHAD-E-VAFAA KERO US SE

kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se 


jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se 





ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii 


zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se 





ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho 


kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se 





nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho 


jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se 





'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa 


yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se 





Contributed by Sana

Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Mudaber Qureshi
URL: http://www.achisite.com