Home | Index of Poets Prem Warbartoni

DIL JALEGAA TO ZAMAA.NE ME.N UJAALAA HOGAA

dil jalegaa to zamaa.ne me.n ujaalaa hogaa 


husn zarro.n kaa sitaaro.n se niraalaa hogaa 





kaun jaane ye mohabbat kii sazaa hai ke silaa 


ham kinaare pe bhii pahu.Nche to kinaaraa na milaa 


bujh gayaa chaa.Nd kisii dard bhare dil kii tarah 


raat kaa rang abhii aur bhii kaalaa hogaa 





dekhanaa royegii fariyaad karegii duniyaa 


ham na ho.nge to hame.n yaad karegii duniyaa 


apane jiine kii adaa bhii anokhii sab se 


apane marane kaa bhii andaaz niraalaa hogaa 





Home | Index of Poets Prem Warbartoni
Maintained by Mudaber Qureshi
URL: http://www.achisite.com