Home | Index of Poets Pirzada Qasim

HAM SE BADAL RAHE HAI.N AAP AAP BAHUT AJIIB HAI.N

ham se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n


dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





saayaa-e-vasl kab se hai aap kaa muntazir magar


hijr me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





apane Khilaaf faisalaa Khud hii likhaa hai aap ne


haath bhii mal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





vaqt ne aarazuu kii lau der hu_ii bujhaa bhii dii


ab bhii pighal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko diijiye nahii.n


gir ke sambhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





daayaraavaar hii to hai.n ishq ke raaste tamaam


raah badal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





[daayaraavaar = fenced in/with boundary]





dasht kii saarii raunaqe.n Khair se ghar me.n hai.n to kyuu.N


ghar se nikal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





[dasht = desert/wilderness]





apanii talaash kaa safar Khatm bhii kiijiye kabhii


Khvaab me.n chal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n





Home | Index of Poets Pirzada Qasim
Maintained by Mudaber Qureshi
URL: http://www.achisite.com