|
May 08, 2013 - 03:19 AM salwa rashid - salwa@gmail.com Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !! Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne phoolon mein chupaya huwa khanjar nahi dekha mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN jo chor dia phir usse mur kar nahi dekha Pathar mujha kehta hai mera chahne wala Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta jis ne meri aankh mein samandar nahi dekha.... IP : 182.182.101.228 |