|
May 08, 2013 - 03:15 AM nida yasir - nida@ymail.com Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain IP : 182.182.101.228 |