|
May 06, 2013 - 12:50 PM sidra shah - sidra@yahoo.com Ab jo lautey ho itney saaloon mein Dhoop utree howi hai baaloon mein Tum meri aankh kay samunder mein Tum meri rooh kay ujaaloon mein Phool hi phool khil uthey mujh mein Koun aaya meray khayaaloon mein Mein ney jee bhar k tujh ko daikh liya Tujh ko uljha k kuch sawaloon mein Meri khusiyoon ki kainaat bhi tou Tou hi dukh dard k hawaloon mein Jab tera doostoon main zikr aaye Thees uthti hai dil k chaalon mein Tum sey aabaad hai ye tunhaayii Tum hi roshan ho ghur k ujaaloon mein Kya usse yaad aa raha hoon Wasi Rung ubhrey hain uss kay gaaloon mein Wasi Shah IP : 182.182.6.159 |