|
May 03, 2013 - 10:31 AM aasma wahid - aasma@hotmail.com Bheer men chaaron taraf chehrey anjaaney miley Merey apney aaj mujh sey ban k begaaney miley Tha bharosa doston par itna keh mujh sey na pooch Jin k haathon men they pathar log pehchaney miley Ban k marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko Jesey jesey waqt beeta zakham puraney miley Kis k aagay rotay or sunaatey apni dastaan Basti thi ujri hui sunsaan thikaney miley Ab na maangen gey Ellahi zindagi ki bheekh hum Ishq men shamma ki yeh kehtey huey parwaney miley Dil diya tha naaz sey jis jis ney apni jaan ko Chund tootay dil k tukray unko nazraaney miley Maazi ki yaad men sab doobay huey thay is qadar Khawab terey shehar k sab log deewaney miley. . .*) IP : 182.182.62.94 |