|
March 30, 2013 - 08:36 AM Amna Haq - amna.haq15@gmai.com Kitab E Zindagi main mainay Kuch Rangh bharay thay Khuwabon Ke Magar ! Na janay kaisi hawa chali k Auraaq ulat’tay gay …. Aur Fikr k haashaiy khinchtay hi chalay gay Woh Alfaz ……. Jo khushi ka ehsas ban kar mehaknay lagtay thay Un main say kuch ! Dhundhlay ho chalay Aur kuch mit chalay Ab qalam bhi saath nahi deta K phir say wahi likhawat ho K phir say wahi Sajhawat ho lagta hay ! Ab to yeh sitrain sada khali hi rahain gi ! IP : 175.110.188.223 |