|
March 30, 2013 - 04:58 AM Madiha Javed - madiha.javed@gmal.com Yaadon ko meray dil sa utarnay bhi nahi deta, Jeenay bhi nahi deta wo marnay bhi nahi deta Zulfain hain pareshaan aankhoon main kaeen dard Farqat ka ye sadma Sanwarnay bhi nahi deta Aankhon main utar jatay hain an dekhay jazeeray Mujh main mera khuwaab wo marnay nahi deta Ho jaen to begaanay us ki tarah hum bhi Pindaar mera mujh ko bhi mukarnay nahi deta Aankhoon sa bhalay door hui soorat teri Ya dil hai k tera aks badalnay bhi nahi deta Is darja sataya hai andheray nay mujhe ab tou Sooraj meri duniya main Ubharnay bhi nahi deta IP : 175.110.188.223 |