|
March 30, 2013 - 04:56 AM Muniba Rehman - muniba.rehman25@gmail.com Udaas raatain naraz pal hain Jo aaj thay huay wo kal hain Qata-o-Taluq o sard-e-mahrii Mas’loun kay uskay ya hal hain Samaye thay jo ragoon main meri Nazar say meri wo aaj ojhal hain Musafatoon na thaka dia hai Nazar hai dhundhli pao’n shal hain Wo asal wo saraab sa tha Jo firqatain hain wohi asal hain Mera ta’aaruf hain qaiso majnoon Hum aashiqoon ki koi nasal hain Nuwazishain thi inayatain thi Par aaj kia hai ya kia badal hain Bahar ab kay kah hai layee Kay zard saaray huay nahal hain Yahee raha bas faraib hum ko Humi abd hain hami azal hain IP : 175.110.188.223 |