|
April 07, 2013 - 12:27 AM Jawad Nawaz - jawad.nawaz@yaho.com Wo hamen jis qadar aazamate rahe apni hi mushkilon ko badate rahe wo akele mein bhi jo lagate rahe ho na ho un ko hum yaad aate rahe yaad karne par bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe aankhen sukhi hui nadiyan ban gain aur tufan badsatur aate rahe pyar se un ka inkar bar-haq magar lab ye q der tak thar-tharate rahe thin to kamanen hathon mein agyar ke tir magar apanon ke janib se aate rahe kar liya sab ne hum se kinara magar ek naseh garib aate jate rahe maikade se nikal kar janab-e-’khumar’ qaba-o-dair mein khak udate rahe IP : 175.110.58.251 |